Monday, March 13, 2006

Heard this from my dad and fall in love with this piece. Please listen it in Begum akhtar's voice:

kuchh to duniyaa kii inaayaat ne dil tod diyaa
aur kuchh talKhii-e-haalaat ne dil tod diyaa

ham to samajhe the ke barasaat me.n barasegii sharaab
aa_ii barasaat to barasaat ne dil tod diyaa

dil to rotaa rahe aur aa.Nkh se aa.Nsuu na bahe
ishq kii aisii ravaayaat ne dil tod diyaa

vo mere hai.n mujhe mil jaaye.nge aa jaaye.nge
aise bekaar Khayaalaat ne dil tod diyaa

aap ko pyaar hai mujh se ke nahii.n hai mujh se
jaane kyo.n aise savaalaat ne dil tod diyaa
A ghazal so close to my heart. Sung by Chitra singh and Begum Saahiba also:


ishq main ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
warna kya baat thee jis baat ne rone na diya.........

aap kehte the ki rone se na badlenge naseeb
umr bhar aapki is baat ne rone na diya ......

rone walon se kaho unka bhi rona ro le
jinko majboori-e-haalaat ne rone na diya......

tujh se milkar hume rona thha bahut rona thha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya......

ek do roz ka sadmaa ho to ro le 'faaqir'
humko har roz ke sadmaat ne rone na diya