Tuesday, August 14, 2007

abhi to kuchh suna bhi nahi
abhi to kuchh kahaa bhi nahi

teri shamma-e-bazm main
ye parwaanaa poora jala bhi nahi

fer lee nazar us tota-chashm ne
aur kehta hai kuchh hua hi nahi

- Prateek Agarwal 'Qaayal'

Thursday, May 10, 2007

साधो रे

साधो रे ये मुर्दों का गाँव - अग्नी
http://efreakyshare.blogspot.com/2007/05/sadho-re-by-agni-video.html

अति उत्तम प्रणय पत्थर (Rock) और दोहे का

कहाँ थी ये अग्नी अब तक
किस सीने मैं दबी थी ज्वाला
अब जो छलकी है तेरे उर से
पीने दे यह जीवन हाला

Sunday, April 01, 2007

Zafar

lagta nahin hai dil mera ujray dayar main
kis kee banee hai aalam-e-na paedaar main

umr-e-daraaz maang ker laye the chaar din
do arzoo main kat gaye, do intezar main

in hasraton se keh do, kahin or ja basain
itni jaga kahan hai dil-e-daaghdar main

kitna hai badnaseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar मैं

- Bahadur Shah Zafar

Monday, September 25, 2006

Hum hi main thhe

A great ghazal written by Hafeez saahab and sung by Mehdi saahab

ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake

tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun
kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake

hosh me.n aa chuke the ham josh me.n aa chuke the ham
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake

shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N
kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake

raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayate.n rahii.n
dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake

aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake
sun kar yakiin kar sake jaa ke u.nhe.n sunaa sake

ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil
kaun terii tarah "hafeez" dard ke geet gaa sake


http://www.stanford.edu/~ajohri/blog/archives/000084.html

Tuesday, May 30, 2006

dil ki aahatein

chand lafz apni zindagi ki kitaab se hame bhi padao
kya beeti kaisi beeti kuchh hame bhi sunao
kis panne pe kaun mila, panna palatate bichhad gaya
kahaan syahi ke daag lage hume bhi batao


----------------------------------------


beh rahe hain maujon main
kehte hue yahi
mar jayega ekdin
ye kehne wala kavi

-----------------------------------------

Words are birds,
they can fly
They can make you happy
and surely you can cry


- Prateek Agarwal Qaayal

Monday, March 13, 2006

Heard this from my dad and fall in love with this piece. Please listen it in Begum akhtar's voice:

kuchh to duniyaa kii inaayaat ne dil tod diyaa
aur kuchh talKhii-e-haalaat ne dil tod diyaa

ham to samajhe the ke barasaat me.n barasegii sharaab
aa_ii barasaat to barasaat ne dil tod diyaa

dil to rotaa rahe aur aa.Nkh se aa.Nsuu na bahe
ishq kii aisii ravaayaat ne dil tod diyaa

vo mere hai.n mujhe mil jaaye.nge aa jaaye.nge
aise bekaar Khayaalaat ne dil tod diyaa

aap ko pyaar hai mujh se ke nahii.n hai mujh se
jaane kyo.n aise savaalaat ne dil tod diyaa
A ghazal so close to my heart. Sung by Chitra singh and Begum Saahiba also:


ishq main ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
warna kya baat thee jis baat ne rone na diya.........

aap kehte the ki rone se na badlenge naseeb
umr bhar aapki is baat ne rone na diya ......

rone walon se kaho unka bhi rona ro le
jinko majboori-e-haalaat ne rone na diya......

tujh se milkar hume rona thha bahut rona thha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya......

ek do roz ka sadmaa ho to ro le 'faaqir'
humko har roz ke sadmaat ne rone na diya

Thursday, October 06, 2005

e

koi ye kaise bataye ki woh tanha kyon hai
woh jo apna thaa wahi aur kisi ka kyon hai

yahi duniya hai to fir aisi ye duniya kyon hai
yai hota hai to aakhir yahee hota kyon hai

ek zara haath bada de to pakad le daaman
uske seene main samaa jaye humari dhadkan
itni kurbat hai to faasla itna kyon hai

dil-e-barbaad se nikla nahi ab taq koi
ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi
Aas jo toot gayi phir se bandhaataa kyon hai

tum asar-rat ka kaho ya ise ghum ka rishta
kehte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka ye rishta to badalta kyon hai

Benaam

Benaam sa ye dard thahar kyon nahi jaataa
Jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jaataa

Sub kuchh to hai kya hai kya dhoondhti rehti hai nigahen
Kya baat hai main waqt pe ghar kyon nahi jaataa
Jo beet......

Woh ek hi chehra to nahi saare jahaan main
Jo door hai woh dil se utar kyon nahi jaataa
Jo beet......

main apni hi uljhi hui rahon ka tamaashaa
jaate hain jidhar sab main udhar kyon nahi jaataa
Jo beet......

Woh naam jo barson se na chehra na badan hai
Woh khwab agar hai to bikhar kyon nahi jaataa
Jo beet......