Sunday, April 01, 2007

Zafar

lagta nahin hai dil mera ujray dayar main
kis kee banee hai aalam-e-na paedaar main

umr-e-daraaz maang ker laye the chaar din
do arzoo main kat gaye, do intezar main

in hasraton se keh do, kahin or ja basain
itni jaga kahan hai dil-e-daaghdar main

kitna hai badnaseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar рдоैं

- Bahadur Shah Zafar

No comments: